vaqt-e-ruKhsat kahiiN taare kahiiN jugnuu aaye
1,191 Viewsvaqt-e-ruKhsat kahiiN taare kahiiN jugnuu aaye
haar pehnaane mujhe phuul se baazuu aaye
(vaqt-e-ruKhsat : time of departure; baazuu : hands)
bas gayii hai mere ehsaas meN ye kaisii mahek
ko’ii Khushbuu maiN lagaauuN terii Khushbuu aaye
maiN ne din raat Khudaa se ye du’aa maaNgii thii
ko’ii aahaT na ho dar pe mere aur tuu aaye
us kii baateN ke gul-o-la’ala pe shabnam barse
sab ko apnaane kaa us shoKh ko jaaduu aaye
(gul-o-la’ala : flowers and tulips; shoKh : cheerful)
un dinoN aap kaa aalam bhii ajab aalam hai
shoKh khaayaa hu’aa jaise ko’ii aahuu aaye
(aahuu : deer)
us ne chhuu kar mujhe patthar se phir insaan kiyaa
muddatoN baad merii aaNkh meN aaNsuu aaye
Bashir Badr
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.







