2,958 views
yuuN ek pal mat soch ke ab kyaa ho saktaa hai
ek lamhe kii aoT bhii pardaa ho saktaa hai
in aaNkhoN ke andar bhii darkaar haiN aaNkheN
chehre ke piiche bhii chehraa ho saktaa hai
kuch ruuheN bhii chaltii haiN baisaakhii lekar
aadhaa shaKhs bhii puure qad kaa ho saktaa hai
kaandhe kaRiiyal ke hoN aur gaThrii buRhiyaa kii
bujh uThaa kar bhii jii halkaa ho saktaa hai
mujhse milkar bhii vo meraa haal na puuche
saavan bhii kyaa itnaa suukhaa ho saktaa hai
itnii Khamoshii bhii acchii nahiiN hai logoN
sannaaToN se bhii hangaamaa ho saktaa hai
is duniyaa meN naa-mumkin nahiiN “Muzaffar”
duudh bhii kaalaa, shahd bhii kaRvaa ho saktaa hai
Muzaffar Warsi

(4 votes, average: 4.50 out of 5)
{ 2 comments… read them below or add one }
It’s a superb piece of work.I can’t my feelings in words after reading.Done great job….MUzafar Warsi
aya he tha khayal k aankhain chalik parien
ansu ksi ke yad k kitnay qareeb thay
imran khadim