yuuN ek pal mat soch ke ab kyaa ho saktaa hai

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (3 votes, average: 4.33 out of 5)
Loading ... Loading ...
1,730 Views

yuuN ek pal mat soch ke ab kyaa ho saktaa hai
ek lamhe kii aoT bhii pardaa ho saktaa hai

in aaNkhoN ke andar bhii darkaar haiN aaNkheN
chehre ke piiche bhii chehraa ho saktaa hai

kuch ruuheN bhii chaltii haiN baisaakhii lekar
aadhaa shaKhs bhii puure qad kaa ho saktaa hai

kaandhe kaRiiyal ke hoN aur gaThrii buRhiyaa kii
bujh uThaa kar bhii jii halkaa ho saktaa hai

mujhse milkar bhii vo meraa haal na puuche
saavan bhii kyaa itnaa suukhaa ho saktaa hai

itnii Khamoshii bhii acchii nahiiN hai logoN
sannaaToN se bhii hangaamaa ho saktaa hai

is duniyaa meN naa-mumkin nahiiN “Muzaffar”
duudh bhii kaalaa, shahd bhii kaRvaa ho saktaa hai

Muzaffar Warsi

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

Related Posts

  • udaasii ke chehre paRhaa mat karo
  • jaaduugar
  • raat jaagaa huuN to sochaa kyaa hai
  • zo’f aataa hai dil ko thaam to lo
  • aabaad raheinge weeraane, shadaab raheingi zanjeereiN
  • One Response to “yuuN ek pal mat soch ke ab kyaa ho saktaa hai”

    1. It’s a superb piece of work.I can’t my feelings in words after reading.Done great job….MUzafar Warsi :-)

    Leave a Reply


    allofmp3.com mp3 download