17,243 views
husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye
ishq kii maGfirat kii du’aa keejiye
(mehr’baaN : generous; maGfirat : pardon, forgiveness)
is saliiqe se unse gilaa keejiye
jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
duusroN par agar tabsiraa keejiye
saamne aaiinaa rakh liyaa keejiye
(tabsiraa : criticism)
ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad
itnii jaldii na ye faislaa keejiye
(tark-e-talluq : breaking off)
ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarah
aise khul ke na sabse milaa keejiye
Khumar Barabankvi

(19 votes, average: 4.32 out of 5)
{ 15 comments… read them below or add one }
Humming this ever since I heard. Thanks for sharing this, I never knew about Khumar, he seems to be very good and listening his ghazal in his own voice is indeed very nice.
v. Good ,
i am really amazed the way poetry is selected, wonderful
How to download recording of Khumar Saheb
It is an excellent collection for the memory of Late Khumar Saheb.
hi.how r u? aap ki poetry buht best thi.
best of luck.
behtareen
husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye
ishq kii maGfirat kii du’aa keejiye
(mehr’baaN : generous; maGfirat : pardon, forgiveness)
is saliiqe se unse gilaa keejiye
jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
duusroN par agar tabsiraa keejiye
saamne aaiinaa rakh liyaa keejiye
(tabsiraa : criticism)
ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad
itnii jaldii na ye faislaa keejiye
(tark-e-talluq : breaking off)
ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarah
aise khul ke na sabse milaa keejiye
Khumar Barabankvi
03126600700
khumaar sahab aapka bhi jawab nahi,
kaash ki aap mere dost hote ………..
ek achi rachna hai …
fantastic!
its an excellent job,i really like it.
plzzz tell me how to download……..thanks.
गूगल ट्रांसलिटरेशन सोफ्टवेर और प्रमुख IME [ vishalon.net] जैसे टूल्स के साथ आप सब गज़ले हिन्दीमे या फिर उर्दुमे यहाँ पब्लिश क्र सकते है! एसी बेहतरीन गजलें हिन्दीमे पढ़ने में और मज़ा आएगा . उम्मीद है आप गौर फरमाएंगे
Janaab zafar saahab Khumaar saahab aapke daada ki umr ke rahe honge aur inteqaal farmaaye bhi ek arsa guzar gaya unko
v v v nice nd advisable poetry..
Lagai fazd laila ny
rag-e-majnuu se khoon nikla
ye nahtar tha MUHABBAT ka
Edhar mara Udhar nikla……..
………………………………….
achi poetry hai ap ny jo select ki nice…………