sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
6,583 Viewssochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
(mahfuuz : safe; lafz-o-bayaaN : words and description; daastaaN : story)
yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah
(rafaaqat : friendship; muKhtasar : short; havaa-e-sar-e-rahguzar : wind over the pathways; nakhat-e-raayegaaN : smell that is not of any use)
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah
(ziin : saddle; maazii : past)
sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah
(sang : rocks; aazaar : difficulties)
KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah
(sail-e-balaa-Khez : ?)
Irfan Siddiqui
Courtesy: Zoya
To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

(15 votes, average: 4 out of 5)






“KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhii,
aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii ki maanind ulaTne lage,
pairahan uR gaye baadbaaN ki tarah”
(sail-e-balaa-Khez : = wave of calamity)
i wonder if people cant even read such urdu poetry in english also, what depth these poets have is amazing.
~SH@z*iA*:
Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hain
Humko khush rehney k aadaab kahan aatey hain
Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin
Ek muthi mein merey khwaab kahan aatey hain
Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aaya
Warna sehraon mein selaab kahan aatey hain
Meri bedaar nigahon mein agar bholey se
Neind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain
Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai
Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain
Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar lein
Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain
Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
Ab muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain
Wonderful especially
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah
great
Irfan Siddique hmmmmmmm?
i never heard he is so good poet. wow
I love urdu Poetry sooooooooooooo much
Itnay chup chap k rastay b rahien ge la-ilam ,
Chor jaien ge kesi roz yeh nager sham k bad…
I read first time about IRFAN, the poetry is really great.
sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
One of the beautiful couplet.
Intresting poem
This site Urdu Poetry very very nice bcoz
Humary Dil ki Awaz es main shamil hy.
main aik sher apna khnaa chohon ga.
Ishq Aesaa ky Zamany ko Bataa bhi Naa Sakoon
Main uosy Bholna chahoon to Bhola B Na Sakoo
Aesaa Aks ke Taswar sy Nikltaa B Nahi
Aesi Tasver ky Hatoon sy Bana B Naa Sakoon
KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah
waah SubhanAllaah..maza aagaya parhkar…:)