Archive for the 'Firaq Gorakhpuri' Category

chiraaGh-e-tuur jalaao baRaa andheraa hai

chiraaGh-e-tuur jalaao baRaa andheraa hai
zaraa naqaab uthaao baRaa andheraa hai

(chiraagh : lamp; tuur : The mountain where Moses went to meet God; naqaab : veil; andheraa : darkness)

mujhe Khud apnii nigahoN pe ait’maad nahiiN
mere kariib na aao baRaa andheraa hai

(nigaahoN : eyes; ait’maad : trust; kariib : near)

vo jin ke hote hai Khurshid aastiinoN meN
unheN kahiiN se bulaao baRaa andheraa hai

(Khurshiid : The Sun; aastiinoN : sleeves; kahiiN : somewhere)

hijaaboN meN bhii tuu numaayaaN numaayaaN

hijaaboN meN bhii tuu numaayaaN numaayaaN
farozaaN farozaaN daraKhshaaN daraKhshaaN

tere zulf-o-ruKh ka badal dhuuNdtaa huN
shabistaaN shabistaaN charaaGhaaN charaaGhaaN

Khat-o-khaal kii tere parchhaaiyaaN haiN
KhayaabaaN KhayaabaaN gulistaaN gulistaaN

junuun-e-muHabbat un aaNkhoN kii waHshat
bayaabaaN bayaabaaN GhazalaaN GhazalaaN

lapaT mushk-e-gesuu kii taataar taataar
damak la’l-e-lab kii badakshaaN badakshaaN

vahii ek tabassum chaman dar chaman hai
vahii pankhurii hai gulistaaN gulistaaN

saraasar hai tasviir jam’eetoN (?) kii
muHabbat kii duniyaa harasaaN harasaaN

rubaaiyaat-o-qitaat

har jalve se ek dars-e-numoo letaa huN
labrez ka’ii jaam-o-suboo leta
padtii hai jab aaNkh tujhpe ai jaan-e-bahaar
sangeet ki sarHadoN ko chhuu letaa huN

har saaz se hotii nahiiN ek dhun paidaa
hotaa hai baRe jatan se ye gun paidaa
meezaan-e-nashaat-o-Gham meiN sadioN tul kar
hotaa hai haalaat meiN tavaazun paidaa

sehraa meiN zamaaN makaaN (?) ke kho jaati haiN
sadioN bedaar rah ke so jaati haiN
aksar sochaa kiyaa huN khal_wat meiN Firaq
teHzeebein kyuN Guroob ho jaati haiN