Archive for the 'Irfan Siddiqui' Category

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

(zavaal : nadir; tulu :  appearing)

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

(jaamaa-zeb : ?;  pairahan-e-jaaN : clothes of the soul)

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

(mahfuuz : safe; lafz-o-bayaaN : words and description; daastaaN : story)

yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah

(rafaaqat : friendship; muKhtasar : short; havaa-e-sar-e-rahguzar : wind over the pathways; nakhat-e-raayegaaN : smell that is not of any use)

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

(sholaa : fireball)

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai

sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

(sair : wander; sehraa : wilderness)

kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai