Archive for the 'Jaun Elia' Category

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

(hunar : skill)

kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

(zabt : control)

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

(darpesh : to confront)

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

kab uskaa visaal chaahiye thaa

kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa

(visaal : meeting)

kab dil ko javaab se Gharz thii
hoNToN ko savaal chaahiye thaa

shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa

(nafas : moment; maah-o-saal : months and years)

ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa

(be-misl-o-misaal : incomparable)

ek qarb meN zaat-o-zindagii haiN
mumkin ko muhaal chaahiye thaa

Jaun Elia

To receive free updates on new Ghazal, Nazm and Mushaira postings, please visit subscribe for options.

nayii Khvaahish rachaaii jaa rahii hai

nayii Khvaahish rachaa’ii jaa rahii hai
terii furqat manaa’ii jaa rahii hai

(furqat : separation)

nibha’ii thii na humne jaane kis se
ke ab sab se nibha’ii jaa rahii hai

ye hai taamiir-e-duniyaa kaa zamaanaa
havelii dil kii Dhaa’ii jaa rahii hai

(taamiir : to build)

kahaN lazzat vo soz-e-justujuu kii
yahaaN har chiiz paa’ii jaa rahii hai

(soz-e-justujuu : pain of longing)

sun ae suuraj, judaa’ii mausamoN ke (?)
meri kyaarii jalaa’ii jaa rahii hai