Archive for the 'Majaz Lucknawi' Category

aitiraaf

ab mere paas tum aayii ho to kyaa aayii ho?

maine maanaa ke tum ek paikar-e-raana’ii ho
chaman-e-dah’r meN ruuh-e-chaman-aara’ii ho
tal’at-e-mah’r ho, firdaus kii barnaa’ii ho
bint-e-mahtaab ho, garduuN se utar aa’ii ho

(paikar-e-raana’ii : portrait of beauty; chaman-e-dah’r : terrestial garden; ruuh-e-chaman-aara’ii : soul of beautified garden; tal’at-e-mah’r : appearence as that of Sun; firdaus : heaven; barnaa’ii : youth; bint-e-mahtaab : daughter of moon; garduuN : fortune and her revolving wheel)

nanhii pujaaran

ek nanhii munnii sii pujaaran
patlii baaheN, patlii gardan

(gardan : neck)

bhor bhaye mandir aayii hai
aayii nahiiN hai, maaN laayii hai

(bhor : dawn)

vaqt se pahle jaag uThThii hai
niiNd bhii aaNkhoN meN bharii hai

ThoRii tak laT aayii hu’ii hai
yuuNhii (?) sii lahraa’ii hu’ii hai

(laT : tresses)

aaNkhoN meN taaroN kii chamak hai
mukhRe pe chaaNdii kii jhalak hai

kaisii sundar hai, kyaa kahiye
nanhii sii ek Siitaa kahiye

jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai

jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai
nazar aap hii se milaanaa bhii hai

muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai
magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai

jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai
qatiil-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai

(qatiil : slain; jafaa-e-zamaanaa : cruelty of the world)

ye bijlii chamaktii hai kyuN dam-ba-dam
chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai

(dam-ba-dam : now and then; chaman : garden; aashiyaanaa : shelter)